Monday, 13 January 2014

windows7 ka istemal

windows7 istemal karna seekhain:

assalamualikum:

dosto aaj se windows 7 ke main kuch zaroori nukat step by step post

karta rahunga jis se aapko windows 7 istemal karne main aasani

ho jaayegi inshallah:

  1. kisi bhi folder ko naee window main kholne k liye pehle cantrol ka button dabaen or us folder per right click karen khulne wale naye dilog box mein open in new window ka intekhaab kar lein is tarah aapka khulnewala naya folder ek alag window mein open hoga
  2. or agar aap is setting ko hamesha k liye set karna chahte he to windows ke logo ke uper ek search box  he jisme aapko folder option type karna he or khulne wale dilog box mein folder option select karna he phir uper 3 tab hogi  general  view  or search jisme general select karna he ab yahan brows option ke neeche do option dekhaee denge jisem se aapko open each folder in its own windows per click kar ke ok kar dena he
  3. is tarah aapka har khola jaanewala folder ek naee windows main open hoga
  4. or agar aap in settings ke baawajood bhi kisi folder ko naee window ke bajay usi window main kholna chahe tous folder ko click karne se pele control ka button dabaye jis se aapka folder usi window main open hoga

No comments:

Post a Comment